Ek ishq aisa bhi
- Vivere
- Oct 11, 2018
- 1 min read
aisa bhi hota hai ishq
bheena bheena sa
gunguna
khurdura
khamakha
na adhoora na poora
na khumaar na intezar
na betaabi na tishnagi
na kaifiyat na karaar
na koshish na kashish
na manzil ki khoj
na judai ka khauf
aasan
halka fulka
bebaak sarfira
shayad thoda chatpata
madham,
mano,
ho hi na.
bas, zaroori.
jaise sardi mein rajai
befikr jaise bandagi
inayat
mohabbat,
bewajah ki
hoshiyari;
yaari-
bekarari
kuch fizool ki ladai
kuch parwaah jaisa pyaar
aur,
sirf sukoon
sirf sukoon
sirf sukoon

Comments